Sunday, July 11, 2010

Zindagi ka falsafa

Ummeedo ka janaja nikla hain ek hafte pehle
Hum note doondh rahein the naye offer letter main
Management ne chillar bada di hamare aage
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke

Aaj kal yeh mahol hain
Seat par kam log amphitheatre main jyada nazar aate hain
Jiss kise kaam kaho wahin 2-4 suna jaata hain
Jurm koi aur karein PM faukat main maara jaata hain
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke

Sab naukri doondhne main lagein hain
Aur de rahein hain interview khadein khadein
Rok sako to rok lo
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke

6 comments:

Dhruv said...

kyaa shayeri hain.....really very good.....it shows real scene behind every thing.....

Saurabh Shrivastava said...

I thought only I was furious about the appraisal.....

some cents from my end.....

" Tufaan abhi aane ko hai chillar ki khanak sunke.....swapn dhumil ho gaye is chillar ki khanak sunke........Ki mann to karta hai aag laga du is zamane me......lekin kya kare kambakht (referring to app letter)...lekin kya kare kambakht...ek maachis ki teeli bhi nahi khareed sakte is zamane me.......ki 1 July ke aane se mann me bhawre uthe the gungunane ko.....lekin is chillar ki khanak se mann baura utha.....kahin se kood jaane ko.......Tufaan abhi aane ko hai is chillar ki khanak sunke...swapn dhumil ho gaye is chillar ki khanak sunke.....

Just a Wit from my end :-)

RAHUL SINHA said...

few lines from my end:


tufan abhi aayega.....kitno ko sath le jayega.....kitne isme dub jayenge....jinme hoga dum wahi nikal payenge.....
tab kaun sunega khanak inn chilleron ki....tab hum noton ki kadkadahat sunayenge.....

jab tufan aayega tab hum bhi sambhal jayenge....hoga dum to hum bhi paar nikal jayenge....
nadi me tairna aata hai to ...samunder bhi paar kar jayenge.....jab tufan aayega tab hum bhi nikal jayenge.....

Dhruv said...

kya baat hain aisa appraisal hua hain ki sabne shayeri start kar di hain...accha hain part time job ke liye...hehhehe

Dhruv said...

kyaa baat hai....saurabh sir ne bhi start kar di shayeri aur piche piche rahul sir bhi lage hain....kyaa baat hai jab se appraisal hua tab se sab logo ne shayeri start kar di hain..baat kyaa hain..........heheheheheheheheheehehehee

Unknown said...

Dil ke armaa aasuo main bah gaye...chillar ki khanak sunke
kya socha tha kya se kya ho gaye..chillar ki khanak sunke............
Enjoy 1st July....