Tuesday, October 12, 2010

IT ke bandho ki pareshaani

IT ke bandho ki zindagi barbaad IT ke HR ke aage,
Dewaano ke gam ka kya muqabla IT main kaam kar rahein logo ke aage,
Shaayaro ki shaayari barbaad IT ke shaayaro ke aage.

IT main Deewano ka hua hain bura haal,
Na office ki sambhal rahin hain na ghar ki,
Ek resign karke chal di aur dusri wapas ghar laut jaane ka dam bhardi.

Fir Mid term appraisal aaya hain,
HR ne na bharne par kuch bhi hike na hone ka saal ke end main darr dikhaya hain,
Logo ne mazboori main bharkar ek din apna gavaya hain.

2 din ke liye ham engagement par chalein, 2 ke 20 din hamein lagein,
Opportunity ham miss karein, baaki sab encash karein,
Ham aane ke baad fir next engagement par chalein,
Ghar par roz jawab hamein dene padein, 2 ke 20 din hamein lagein.

2 comments:

Dhruv said...

ek dum sahi kaha sir..jo shayeri IT ke bande likh sakte hain wo koi aur nai.kyuki unki baaton mein,unki writings mein unki har baat mein wo dard chupa hota hain jo unhe IT deta hain..but we have to GET USED TO IT...there is no other options

Saurabh Shrivastava said...

Kaam to mazhab bana k chal diye IT ki raah me....ibadat shuru ki IT ki raah me....khuda samajh k is kaam ko....humne gale lagaya IT k naam ko....is naam aur kaam ki jugalbandi ne hume karaye politics k darshan....khule aasmaan k neeche aaye bahut parivartan....prarthna hai apne Ram se...kahin mann na uchat jaaye is kaam se......ibadat ki is raah me banaye bahut se armaan.....internal politics ne sikhaya ki raah nahi hai aasaaan.....ghar parivaar se door....aatm-vibhor hoke....door desh me sangharsh kar raha hu.....kaam ko apna mazhab banake uski ibadat kar raha hu......