Wednesday, November 25, 2009
Falsafa Continued
Pal pal marte hain roz yaha,
Jis din jeene ki iccha hogi,
Woh shaam yaha aakhri hogi.
Zara sa kaam ka bhoj bada nahin log bhag lete hain yaha waha,
Pavan ka jhoka hain yeh aaj yaha to kal waha.
Kal honge ham kaha, aaj shaam tak pata nahin,
Pahuch bhi gayein ham waha, to rahenge kaha iska pata nahin,
Reh bhi liye ham waha to karna kya hain iska pata nahin.
Hamara yeh haal hain, ham to family ke liye bhi guest hain,
Kabhi yaha to kabhi waha, isliye to Pune waali family kehte hain,
Har din kahin na kahin kisi na kisi city main kisi na kisi family ke guest hote hain.
Tuesday, November 3, 2009
Falsafa continued
RFP jab tak jayega do teen ke naam bill faad jayega
Mil gaya to 40 - 45 ko teekhane lagayega
Kaam kam hoga qurbaani jyada hogi
Noto ki baarish kam udhaar lene ki baari hogi
Government ka staff kuch karein na karein
Din main chaand taarein dikhayega
PM par naukri ka khatra mandrayega
Uske kehne par koi uske kaam naa aayega
Sunhere aksharo main corporate ki diwalo par shaheedo ka naam likha jayega
Jharkhand jab tak aayega............
Monday, November 2, 2009
Falsafa continued
Sales wala bhi to *.RFP par jeeta hain
Sales wala jab bhi free hota hain offshore walo ki ragging leta hain
Nahin sunein to sabko ek page par la deta hain
Din pura apne aapko bachane main nikal jaata hain
Mushkilein bahut hain raho main, Lekin rahein kahan hain iska pata nahin
Sapno main jeetein hain sab yaha, sapno ko haqeekat main badle kaise iska pata nahin
Saudagaro ki duniya hain, sab bech rahein kuch na kuch yahan
Lekin sach yeh hain ki kharidne waalo ka pata nahin
Thursday, September 10, 2009
Zindagi ka Falsafa
Subah 9:30AM se shaam 5:30PM ho
Schauffer driven car ho.. naukri aisi ho
Ek haath main laptop, dusre haath main tiffin ho,
Bethne ke liye cabin ho.. naukri aisi ho
Haath ke neeche secretary ho, saare mail woh padein,
Mail reply karne ka na koi load ho... naukri aisi ho
Target ka na koi load ho, na escalation ki fikr ho,
Aur na koi customer interaction ho.. naukri aisi ho
Company ki gathering main apna intezaar ho,
Badein fundae dene ke baad taaliyon ki barsaat ho.. naukri aisi ho
Har kaamchor ka role model ho.. naukri aisi ho
Tuesday, August 25, 2009
Falsafa continued
With your involvement you can't fail
A man is lucky if he is the first love of a Woman.
A woman is lucky if she is the last love of a man.
Behind every successful man, there is an untold pain in his heart.
Diwano sa haal ho gaya hain IT main kaam karke
Pata nahin chal raha kidhar ko aa rahein hain kidhar ko jaa rahein hain
Badein log fundae de jaate hain, hum kahin kho jaate hain
Sunne waala koi nahin, sunane walein sab hain yahin
Jibaan ko haddi nahin, hamare liye sar dardi kam nahin.
Thursday, July 9, 2009
Falsafa continued
कानून में सुधार आया है देश में अब बदलाव आया है
लड़के को लड़की न खोजनी ना लड़की को लड़का,
कोई भी मिल जाये चलेगा बस भिडे प्रेम का टांका
शायद अब किसी घर मेंमूंछों वाली भाभी आएँगी,
कन्यायें कन्या को भी अबजीजू जीजू बुलाएंगी
उन्मुक्त गगन के नीचे केवलअब जोड़े ना रास रचाएंगे,
बदला बदला होगा मंजर लड़के जब लड़का पटायेंगे
पुलिस के पास भी अब शायदछेड़छाड़ के केसेज बढ़ जायेंगे ,
महिला महिला को छेड़ेगी पुरुष पुरुष से छेड़े jaayenge
हर सिक्के के पहलू दो होते कुछ सुधार तो आयेंगे,
ये नए बदलाव देश को जनसँख्या विस्फोट से बचायेंगे
Note: Receieved in one of the forwarded mails
Wednesday, July 8, 2009
Falsafa continued
During recession these words are used to layoff people.
Hum kuch chahein company se yeh sochna hamari galti hain
HR aur company hamse chahein yeh unka haque banta hain
IT ka nasha jo pehle sar chad kar bol raha tha sabke
Ab soch ke hi khamoshi chaa jaati hain
Onsite bhejte hain bakra bana ke
Client kaam karvata hain ghada samajh ke
Aur company paise deti hain gulaam samajh ke
Thursday, July 2, 2009
Falsafa continued
Designation comes and go what comes with you is your personal relationship with others
Appraisal kya hua meri to neend hi udd gayi
Salary aage badne ke badle teen saal peeche chali gayi
Appraisal ko lekar dukh ka mahol hain sab jagah
Soch rahein hain itna kaam karke kya gunaah kiya
Main poochta hoon itna kaam hi kyun kiya
Kharche itne na karo ki tumhari salary jhel na payein
Kaam itna na karo ki company jhel na payein
Kyun ki bill aur hike aane ke baad aisa na ho ki kehne ke liye koi shabd milne na payein.
Tuesday, June 16, 2009
Falsafa continued
It means that you value the relationship more than your ego
Success usually comes to those who are too busy to be looking for it...
Main zindagi main aisi koi baat hi nahin karta ki dimaag par load padein
Mere bhi aur saamne waale ke bhi
Hum hain to document hain, Document hain to internet hain
Aur internet hain isilye to hum aaj tak hain
Aap kab aayego.... mere bete ke alfaaz
Thursday, May 21, 2009
Falsafa continued
You need to fight your own battle
If you are not happy with your Immediate manager and HR policies
It is an indication for you to move on
Life is a tragedy for dreamers, a comedy for doers and reality for achievers.
Do not run through life so fast that you forget not only where you have been,
but also where you are going.
Life is not a race, but a journey to be savoured each step of the way
Sunday, March 22, 2009
Falsafa continued
Nasha chadne ke baad... Nasha uterne ke baad
1. Tu Mera bhai hai…Bhai ki aisi ki taisi
2. Gadi mai Chalunga.... Driver samajh rakha hain kya
3. Abe abhi itni Aur Andar ja sakti hai…Bottle ke paise kaun dega
4. Tu bura mat manana bhai…Bura lage to mere isse
5. Mai teri Dil Se Izzat Karta hu…Izzat gayi bhad main
6. Aaj Chad nahi rahi hai kya bat hai…Saala itni pi li ki sar bhari ho raha hain
7. Tu Kya samajh raha hai mujhe lag gayi hai…Lag gayi re
8. Ye mat samajh ki piye me bol raha hu…Arre bolne ke laayak rakha kha hian tumne
9. yar kam to nahi padegi.. Saala carat khali kardi kachre main kaun fekega
10. Chhote Ek Ek Chhota aur ho Jae…Chotta karke itni pili ki ulti ho rahin hian ab kuch khane ki haalat main nahin hoon re
11. After 6 th Peg….:Baaap ko mat Sikhao. Main sone jaa raha hoon
12. Yar magar Dil dukha diya yaar…Dil ki to waat lag gayi hain (biwi yaha phir girlfriend)
13. Kuchh bhi hai Bhai hai Apna…Maaro re bhai ki maaro re
14. Tu Bolna Bhai kya chahiye…Jaan chahiye hazir hai ??? Jaan, ladki aur paisa chodke kuch bhi bol
15. Mere ko malum hai tere ko pyaar hoo gaya hai. Teekh hain na mujhe isse kya, mere ko thodi koi fayda hain
16. Tu chahta hai main ussko chodh dun ! Abey uske saath aur rehne ko pagaal kutta kata kya mujhe
17. Abe BHABHI ke baare main mat boolna koi bhi ! Raat gayi baat gayi
18. After Last peg : YAAR JINDAGI BARBAAD HOO GAYI YAHAN PE AAKE ! Dollar ke wazah se ruka hoon re
19. Main akele chala jayunga.. Chalo re sab chalte ho to jayenge nahi to jaana cancel
20. Tune mere se 2 peg kam pee thi!! .. Accha hua re tune jyada pi nahin, nahin to meri jaisi lag jaati teri bhi
21Aaj k bad fir nahi punga!! .. Chal shaam ko beththe hain
21. Ye neat peg _______(girlfriend)k naam ka...!! Girlfriend to kisi aur ke saath ghum rahin hain
Friday, March 13, 2009
Falsafa continued
Aapka project code, Aapki seat aur Aapka sukh chain
Client ki har galtiyaan aankh moondh kar ignore kardo,
Uske project plan aur expectation ko salaam karo,
Uski har bevkoofi ko uski nadaani samjho,
kyunki na samajh kar bhi aap uska kuch bigaad nahin sakte.
Quarter of IT employees ke bankrupt hone ka samay aa gaya hain
To summarize End of all expectations and dreams.
Friday, February 27, 2009
Falsafa continued
Acche achhe ko road pe laane ka intezaam hain
Recession ke waqt tum agar aisi cheezein kharidoge jo tumhe nahin chahiye
To woh din door nahi jab tumhe aisi cheezein bechni pad jayegi jiski tumhe jyada zaroorat hain.
Saving usse kahi jaati hain jo har mahine shopping karne se pehle ki jayein
na ki shopping karne ke baad bachein paise ko
Shaadi karte waqt ek baat ka dhyan rakhna chahiye
Dono IT main kaam na karte ho, nahin to dono ko
Recession, stress, salary cut, bench, pink slip, Go-live, weekend extra hours, Travelling, Internet, Night shift, Depression, P1-calls.
Aisi sab cheezo se koi nahin bacha sakta hain
Unka to Bhagwan hi maalik hain.