Maut ki gunzaish kaha,
Pal pal marte hain roz yaha,
Jis din jeene ki iccha hogi,
Woh shaam yaha aakhri hogi.
Zara sa kaam ka bhoj bada nahin log bhag lete hain yaha waha,
Pavan ka jhoka hain yeh aaj yaha to kal waha.
Kal honge ham kaha, aaj shaam tak pata nahin,
Pahuch bhi gayein ham waha, to rahenge kaha iska pata nahin,
Reh bhi liye ham waha to karna kya hain iska pata nahin.
Hamara yeh haal hain, ham to family ke liye bhi guest hain,
Kabhi yaha to kabhi waha, isliye to Pune waali family kehte hain,
Har din kahin na kahin kisi na kisi city main kisi na kisi family ke guest hote hain.
Wednesday, November 25, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Nasha hi Nasha hai nasha hi nasha hai....ye responses ka maza hai....
aaj yahan ka submission hai kal wahan ka.....maang lete hain capability requirement saare jahan ka......is janjaal me sabka jeevan fasa hai...Nasha hi nasha hai...nasha hi nasha hai.....
Lol...some cents from my end on current scenario. Please dont mind.
Post a Comment