Thursday, April 10, 2008

Falsafa continued

Samay se pehle aur takdeer se jyada
Kise bhi aur kabhi bhi nahin milta

Karm kiye jaa fal ki chinta mat kar

Maut se pehle kabhi mara nahin karte

Insaan ki jaroorat aur soch ki koi seema nahin
aasmaan bhi uske saamne chota pad jayein
Socho unke baare main jinki jaroorat aur soch
do roti ki talaash aur paane main nikal jaati hain.

Saare gam bachhe ki ek hasi par kurbaan

Agar kisika bhala nahin kar sakte to kisika bura bhi mat karo

Apno ke liye to bahut kiya
kabhi kisi jaroorat mandh anjaane ke liye karke dekho

Insaan choti moti khuisyon ke mauke kho deta hain badi khushi ke chakkar main

Yeh mat soch logo ne tere liye kya kya kiya hain
Yeh soch tune logo ke liye kya kya kiya hain

1 comment:

Unknown said...

Insaan choti moti khuisyon ke mauke kho deta hain badi khushi ke chakkar main


Ye line mujhe bahot pasand ayaya.

Agar ap per sentence ke sath jura hua apna experience share kartey toh our bhi achha lagta.