Tuesday, April 29, 2008

Falsafa continued

Neend nahin aane ke sirf teen karan ho sakte hain
Tension, Paisa aur Wife(Girl friend)

Kisiko apni baat manvaane ke 3 hi tarike hain 3Cs
Convince Confuse Corruption

Bacho ki hasi par shak nahin karte
Yeh to badein hote hain jo mausam ka rukh dekhkar decide karte hain
Face ka expression kya hona chahiye

Insaan ke ninety percent dukh dard khatam ho sakte hain
Agar woh apni jaroorte fifty percent karde to

Har kisiko yahin lagta hain
Uska dukh sabse bada
Uske pass sabse jyada workload
Uske pass dusro se kam paise ....HAIN

Tuesday, April 22, 2008

Falsafa continued

Jinhe girne se darr lagta hain woh uchhai par nahin chad sakte.

Jis cheez ko paana chahte ho uske baare main sochna chhod do
Apne aap mil jayegi.

Live life on your own rules
Make it sure you don't break it
After all rules are rules.

If you are the flame you can't be burned

If a drop of water falls in lake there is no identity.
But if it falls on a leaf of lotus it shine like a pearl.
So choose the best place where you would shine.

Girna haar nahin hoti
Girkar nahin uthna haar hain

Friday, April 18, 2008

Falsafa continued

Jinke pass sach main paisa hota hain
Woh kabhi paise gina nahin karte
Bank balance regularly check nahin kiya karte
Aur is baare main baat karna pasand bhi nahin karte.

Aankehin hamesha manzil par honi chahiye
Zara sa nishaana chuka ki bus phir manzil chuke samjho.

Ability can take you to the top, but it takes character to keep you there.

Jo hamesha koshish karte rehte hain mauka usse hi milta hain
Opportunities are always there you just need to know how to grab the same.

Insaan ki fitrat hain
Usse dusre ki thali main rakha khaana
Dusre ki biwi
Dusro ka paisa
Aur door ke pahad hi acche lagte hain
Iisiliye to woh Insaan hain

Sapne woh nahi hote jo neend main aate hain
Sapne to woh hote hain jo tumhari neend chura lete hain

Falsafa continued

meherbaan ho ke bula lo mujhe chaaho jis waqt!
main gayaa waqt nahin hoo ke phir aa bhi na sakoon

IT ne achho achho ko barbaad kiya
kisi ki aakh hui kamzor
kisi ko hua slip disk
kisi ki personal life barbaad hui
kisi ko lena pada divorce
kisi ki naukri gayi
kisi ne liya itna udhaar
kisi ne office main computer ke saamne toda dum
aur jo bach gayein unme se kisi ne kahan IT ko alvida.. alvida

To dilute the will to win is to destroy the purpose of the game.
There is no substitute for victory.

If you can' avoid something, start enjoying it.

Jeene ke liye khao, khane ke liye mat jiyo.

Thursday, April 10, 2008

Falsafa continued

Samay se pehle aur takdeer se jyada
Kise bhi aur kabhi bhi nahin milta

Karm kiye jaa fal ki chinta mat kar

Maut se pehle kabhi mara nahin karte

Insaan ki jaroorat aur soch ki koi seema nahin
aasmaan bhi uske saamne chota pad jayein
Socho unke baare main jinki jaroorat aur soch
do roti ki talaash aur paane main nikal jaati hain.

Saare gam bachhe ki ek hasi par kurbaan

Agar kisika bhala nahin kar sakte to kisika bura bhi mat karo

Apno ke liye to bahut kiya
kabhi kisi jaroorat mandh anjaane ke liye karke dekho

Insaan choti moti khuisyon ke mauke kho deta hain badi khushi ke chakkar main

Yeh mat soch logo ne tere liye kya kya kiya hain
Yeh soch tune logo ke liye kya kya kiya hain

Saturday, April 5, 2008

Zindagi main kuch bhi free nahin hota
Har cheez ki ek keemat chukani padti hain

Sab Moh Maaya hain

Har Insaan kisi na kisi se darta hain
fark itna hain koi iska izhaar karta hain koi iska izhaar karne se darta hain

Beete hue pal lautke nahin aate unhe sirf yaad kiya jaa sakta hain

Zindagi main kabhi paise ke peeche mat bhago
kuch aisa karo ki paise tumhare peeche bhage
nahin to zindagi ki race main hamesha hamesha ke liye ghoom ho jaaoge
mud kar dekhoge apna koi na hoga tum akele aur tanaah nazar aaoge

Dollar aur pound se kabhi khusiyan nahin kharidi jaa sakti
yeh to apne se poocho jinhe tum peeche chodkar chalein aayein