Wednesday, November 19, 2008

Falsafa continued

Hare krishna Hare Ram
Jitna paisa utna kaam

Keep yourself busy at something
A busy person never has time to be unhappy.

Don't let your neighbour set standards for you. Be yourself.

Make up your mind to be happy.Learn to find pleasure in simple things.

Laughing Faces does not mean that there are no sorrows!
But it means,That they have the ability to deal with them!!!!

2 din main naya taj mahal banane ko kehte hain
bin sar per ki baatein karte hain
BDM se dosti karlo to
haste khelte zindagi main tufaan la dete hain

Friday, September 5, 2008

Falsafa continued

The game is not over ....... b'coz. I haven't won yet.

Musibat aur Mazburi main kya fark hain
Musibat main Bhagwaan aur
Majburi main Mahatman Gandhi yaad aatein hain.

Agar kuch alag karna chahte hoto
sochna waha se shuru karo
jaha par log sochna khatam kar dete hain.

IT main kuch bhi rocket science nahin hain
lekin kisi ko yeh pata nahin rocket ne kisi din
U turn le liya to IT ka kya hoga.

Monday, August 11, 2008

Falsafa continued

kinaare par bethkar samundar paar nahin kiya jaa sakta

har company main buraiyaa doondhne waalein bahut hain
sab dekhne ka pher hain
chaho to buraiyaan dekhkar hamesha dukhi reh sakte ho
yaha phir thodi bahut achhaiyaan dekhkar hamesha khush

There are 2 kinds of people,
those who do the work and those who take the credit
Try to be in the first group,
there is less competition there.

Puri duniya main aisa koi ghar nahin jisme koi taklif na ho

Office politics karne se achha hain
kuch company ke liye kaam karle

Tuesday, June 24, 2008

Falsafa continued

Nights are longer for those who dreams..
But days are longer for those who make there dreams come true.

Gunah karke saza se darte hain
zaher peeke dawa se darte hain
dushmano ke sitam ka khauff nahin
hum to dosto ki wafa se darte hain

Aaj tak jitne WAR hue hain unke peeche sirf teen hi karan hain
paisa, zameen aur ladki

Power can't be given it has to be taken.

Kisi ke haste hue chehre se uske gam ka hisaab nahin lagaya jaa sakta

Har koi hamse kush rahein yeh namumkin hain
par humse kisi ko taklif na ho yeh to mumkin hain

Tuesday, June 10, 2008

Falsafa continued

appraisal kya hain,
dhoka, ek chalava hain,
bevkoof banane ka sabse sasta tarika hain.

Agar apne saare khwab tutte hue dekhna chahte ho to IT join karlo.

ladkiyaan to kuch hi gam deti hain
IT to gam ka ambaar laga deti hain.

Project successful ho jayein to PM aur management wah wahin loot lete hain
agar bandh ho jayein to sar pe matka fod dete hain
paisa badane ko kaho to sunaai nahin deta
aur kaam ho to weekend bhi bula lete hain.

Success is not final, Failure is not fatal,
It is the courage to continue that counts .

Wednesday, May 14, 2008

Zindagi ka falsafa

har pal aise jeena chahiye jaise shaayad
kal ho na ho hum rahein na rahein


Trust should be like the feeling of a one year old baby when you throw him in the air,
he laughs......because he knows you will catch him. .......That's Trust

Zindagi Ki Asli Udaan Abhi Baaki Hai,
Zindagi Ke Kahin Imtihann Abhi Baaki Hai.
Abhi To Napi Hai Muthi Bhar Zameen Aapne,
Aage Abhi Saara Aasman Baaki Hai.

Never Take Some One For Granted,
Hold Every Person Close To Your Heart,
Because You Might Wake Up One Day And Realize,
That You Have Lost A Diamond,
While You Were Too Busy Collecting Stones.

Jab tak aag nahin lagti tab tak rocket bhi nahin udta

Thursday, May 1, 2008

Falsafa continued

Naukri karlo yaha phir nakhra

Aisa nasha hi kiya jo hamein uska gulaam bana de

Wife aisi ho jis par khud ko naaz ho
Life aisi ho jis par apno ko naaz ho
Job aisi jo jis par har milne walein ko naaz ho
Aur maut aisi ho jis par duniya naaz karein

Ghar aur office main sirf ek hi farak hain
Ghar main ek hi jan tension deta hain
Office main sab log milke dete hain... TENSION

Aisa koi nasha nahi karna chahiye jise chodna pad jayein

Agar income nahin bada sakte to expenses kam kardo

Tuesday, April 29, 2008

Falsafa continued

Neend nahin aane ke sirf teen karan ho sakte hain
Tension, Paisa aur Wife(Girl friend)

Kisiko apni baat manvaane ke 3 hi tarike hain 3Cs
Convince Confuse Corruption

Bacho ki hasi par shak nahin karte
Yeh to badein hote hain jo mausam ka rukh dekhkar decide karte hain
Face ka expression kya hona chahiye

Insaan ke ninety percent dukh dard khatam ho sakte hain
Agar woh apni jaroorte fifty percent karde to

Har kisiko yahin lagta hain
Uska dukh sabse bada
Uske pass sabse jyada workload
Uske pass dusro se kam paise ....HAIN

Tuesday, April 22, 2008

Falsafa continued

Jinhe girne se darr lagta hain woh uchhai par nahin chad sakte.

Jis cheez ko paana chahte ho uske baare main sochna chhod do
Apne aap mil jayegi.

Live life on your own rules
Make it sure you don't break it
After all rules are rules.

If you are the flame you can't be burned

If a drop of water falls in lake there is no identity.
But if it falls on a leaf of lotus it shine like a pearl.
So choose the best place where you would shine.

Girna haar nahin hoti
Girkar nahin uthna haar hain

Friday, April 18, 2008

Falsafa continued

Jinke pass sach main paisa hota hain
Woh kabhi paise gina nahin karte
Bank balance regularly check nahin kiya karte
Aur is baare main baat karna pasand bhi nahin karte.

Aankehin hamesha manzil par honi chahiye
Zara sa nishaana chuka ki bus phir manzil chuke samjho.

Ability can take you to the top, but it takes character to keep you there.

Jo hamesha koshish karte rehte hain mauka usse hi milta hain
Opportunities are always there you just need to know how to grab the same.

Insaan ki fitrat hain
Usse dusre ki thali main rakha khaana
Dusre ki biwi
Dusro ka paisa
Aur door ke pahad hi acche lagte hain
Iisiliye to woh Insaan hain

Sapne woh nahi hote jo neend main aate hain
Sapne to woh hote hain jo tumhari neend chura lete hain

Falsafa continued

meherbaan ho ke bula lo mujhe chaaho jis waqt!
main gayaa waqt nahin hoo ke phir aa bhi na sakoon

IT ne achho achho ko barbaad kiya
kisi ki aakh hui kamzor
kisi ko hua slip disk
kisi ki personal life barbaad hui
kisi ko lena pada divorce
kisi ki naukri gayi
kisi ne liya itna udhaar
kisi ne office main computer ke saamne toda dum
aur jo bach gayein unme se kisi ne kahan IT ko alvida.. alvida

To dilute the will to win is to destroy the purpose of the game.
There is no substitute for victory.

If you can' avoid something, start enjoying it.

Jeene ke liye khao, khane ke liye mat jiyo.

Thursday, April 10, 2008

Falsafa continued

Samay se pehle aur takdeer se jyada
Kise bhi aur kabhi bhi nahin milta

Karm kiye jaa fal ki chinta mat kar

Maut se pehle kabhi mara nahin karte

Insaan ki jaroorat aur soch ki koi seema nahin
aasmaan bhi uske saamne chota pad jayein
Socho unke baare main jinki jaroorat aur soch
do roti ki talaash aur paane main nikal jaati hain.

Saare gam bachhe ki ek hasi par kurbaan

Agar kisika bhala nahin kar sakte to kisika bura bhi mat karo

Apno ke liye to bahut kiya
kabhi kisi jaroorat mandh anjaane ke liye karke dekho

Insaan choti moti khuisyon ke mauke kho deta hain badi khushi ke chakkar main

Yeh mat soch logo ne tere liye kya kya kiya hain
Yeh soch tune logo ke liye kya kya kiya hain

Saturday, April 5, 2008

Zindagi main kuch bhi free nahin hota
Har cheez ki ek keemat chukani padti hain

Sab Moh Maaya hain

Har Insaan kisi na kisi se darta hain
fark itna hain koi iska izhaar karta hain koi iska izhaar karne se darta hain

Beete hue pal lautke nahin aate unhe sirf yaad kiya jaa sakta hain

Zindagi main kabhi paise ke peeche mat bhago
kuch aisa karo ki paise tumhare peeche bhage
nahin to zindagi ki race main hamesha hamesha ke liye ghoom ho jaaoge
mud kar dekhoge apna koi na hoga tum akele aur tanaah nazar aaoge

Dollar aur pound se kabhi khusiyan nahin kharidi jaa sakti
yeh to apne se poocho jinhe tum peeche chodkar chalein aayein