Sunday, July 11, 2010

Zindagi ka falsafa

Ummeedo ka janaja nikla hain ek hafte pehle
Hum note doondh rahein the naye offer letter main
Management ne chillar bada di hamare aage
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke

Aaj kal yeh mahol hain
Seat par kam log amphitheatre main jyada nazar aate hain
Jiss kise kaam kaho wahin 2-4 suna jaata hain
Jurm koi aur karein PM faukat main maara jaata hain
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke

Sab naukri doondhne main lagein hain
Aur de rahein hain interview khadein khadein
Rok sako to rok lo
Tufaan abhi aane ko hain, chillar ki khanak sunke